jun ka tapta mahina timtimata aaftab
Dhal chuka hai din ke sanche mein jahannam ka shabab
dopahar ek aatish-e-sayyal barsati hui
sina-e-kohsar mein lawa sa pighlati hui
wo jhulasti ghas wo pagDanDiyan pamal si
nahr ke lab KHushk se zarron ki aankhen lal si
chilchilati dhup mein maidan ko chaDhta buKHar
aah ke manind uThta halka halka sa ghubar
dekh wo maidan mein hai ek bagula be-qarar
aandhiyon ki god mein ho jaise muflis ka mazar
chaak par jaise banae ja rahe hon zalzale
ya junun tai kar raha ho gardishon ke marhale
Dhaalna chahe zamin jis tarah koi aasman
jaise chakkar kha ke nikle top ke munh se dhuan
mil raha ho jis tarah josh-e-baghawat ko faragh
jang chhiD jaane pe jaise ek leader ka dimagh
KHashmgin abru pe Dale KHak-aluda naqab
jangalon ki rah se aae safir-e-inqalab
yun bagule mein hain tapte surKH zarre be-qarar
jis tarah aflas ke dil mein baghawat ke sharar
kas qadar aazad hai ye ruh-e-sahra ye bhi dekh
kas tarah zarron mein hai tufan barpa ye bhi dekh
uTh bagule ki tarah maidan mein gata nikal
zindagi ki ruh har zarre mein dauData nikal
Nazm
Bagula
Jaan Nisar Akhtar