main sochta hun
main ek insan hun ek musht-e-ghubar hun main
abhi main ye soch hi raha tha
ki ek aawaz sarsarai faza ki KHamosh wusaton mein
main chaunk uTTha
palaT ke dekha
koi hawai-jahaz parwaz kar raha tha
jo lamha lamha bulandiyon ki taraf rawan tha
main us ko takta raha musalsal
na jaane kab tak
na jaane is lamha-e-gurezan ke tang daman mein
kitni sadiyan simaT gai thin
na jaane meri nazar mein kitne nae ufuq jagmagae
kitne hi chand suraj ubhar ke Dube
kitne hi chand suraj ubhar ke Dube
na jaane wo kaun sa jahan tha
zamin--- ki pairon tale koi farsh-e-zar ho jaise
falak--- ki sar par rida-e-ab-e-guhar ho jaise
faza--- munawwar
hawa--- moattar
nafas nafas mein basi hui nikhat-e-gul-e-tar
KHalaon mein mushtari o zohra ka raqs jari
tamam aalam pe halka halka surur tari
na jaane main kis KHayal mein gum
kis abr-pare pe uD raha tha
ghurur se sar buland kar ke har ek sitare ko dekhta tha
ki ek dil-doz chiKH gunji faza ki KHamosh wusaton mein
main chaunk uTTha
palaT ke dekha
gali se ek haDDiyon ka Dhancha guzar raha tha
jo chiKH kar ek ek se kahta tha
ek roTi--- KHuda tumhaara bhala karega
Nazm
Bagula
Himayat Ali Shayar