hariyali ko aankhen tarsen bagiya lahuluhan
pyar ke git sunaun kis ko shahr hue viran
bagiya lahuluhan
Dasti hain suraj ki kirnen chand jalae jaan
pag pag maut ke gahre sae jiwan maut saman
chaaron or hawa phirti hai le ke tir kaman
bagiya lahuluhan
chhalni hain kaliyon ke sine KHun mein lat-pat pat
aur na jaane kab tak hogi ashkon ki barsat
duniya walo kab bitenge dukh ke ye din-raat
KHun se holi khel rahe hain dharti ke balwan
bagiya lahuluhan
Nazm
Bagiya lahuluhan
Habib Jalib