hasan jis shahr mein
tu gili miTTi se
kabhi kuze banata tha
tujhe is shahr mein miTTi nahin
ab sar milenge
hazaron KHasta-tan
lashon se rista KHun
tere shahr ki miTTi ko
yun sairab karta hai
ki ab jo tu kabhi
miTTi se khelega
to har kuza surahi jam-o-mina
lahu ke rang ke honge
teri naqsh-o-nigari
aur tere hathon ki sannai
na in kuzon ko baKHshegi wo hairat
wo nudrat aur wo naqqashi
jo bas tera hi hissa thi
wo is miTTi ki sondhi tez KHushbu
purane KHun ki badbu mein mil kar
aisi badli hai
tujhe mahsus hoga
tu kisi marghaT mein baiTha hai
tujhe dajla ka wo shaffaf pani yaad hai kya
wo jis se tere kuzon ki ziya thi
wo jis se pyas bujhti thi
tere sukhe badan ki
wo dajla surKH hai
masum bachchon ke lahu se
hasan ata yusuf ki dukan ke samne
kal bam phaTa tha
na jaane kitne kuza-gar mare
jin ke gharon mein
isi miTTi ke pyale hain magar KHali
taDapti bhuk hai aur lab sawali
na jaane kitne kari-gar mare
ab kaun ginta hai
hasan is shahr mein ab koi marjina nahin hai
na duniya-zad, na hasib karimuddin ka ghar hai
ajaib-ghar hain na wo dars-gahen
kutub-KHanon mein lashkar so rahe hain
koi zinda nahin is shahr mein
bas maut zinda hai
hasan tu mujh se wada kar
ki chahe kuchh bhi ho jae
palaT kar is shahr mein
phir kabhi wapas na aaega
Nazm
Baghdad
Salman Ansari