main ne kal ek KHwab dekha
ki main KHwab dekh raha hun
meri nind mere jism ke andar rah rahi hai
mujh tak muntaqil nahin ho pa rahi
aankhon mein basarat hai
magar mujhe dikhai nahin de raha
main chalta hun
magar panw harkat nahin kar pate
ghuTan ke mare sans leta hun
to ret munh se nikalti hai
main KHwab se be-dar ho jata hun
KHauf ki thakawaT mere jism se utarne lagti hai
to main mahsus karta hun
main diwaron se is tarah guzar raha hun
jaise shishe se raushni
jaise darwaze ki durzon se hawa
main hath lambe kar ke sitare toD lata hun
aur panw phaila ke zamin mein utar jata hun
mujh mein yak-dam KHwahish paida hoti hai
ki main chiKHun
chiKHne ki andoh-nak kaifiyat ke bojh tale aa kar
main ek bar phir dab jata hun
Nazm
Badan ka nauha
Qasim Yaqub