اردو हिंदी
Badan-darida ruhon ke nam ek nazm | Shaahi Shayari
badan-darida ruhon ke nam ek nazm

Nazm

Badan-darida ruhon ke nam ek nazm

Iftikhar Arif

;

KHwabon se tahi be-nur aankhen
har sham nae manzar chahen

bechain badan pyasi ruhen
har aan nae paikar chahen

bebak lahu
an-dekhe sapnon ki KHatir

jaane anjaane raston par
kuchh naqsh banana chahta hai

banjar pamal zaminon mein
kuchh phul khilana chahta hai

yun naqsh kahan ban pate hain
yun phul kahan khilne wale

in badan-darida ruhon ke
yun chaak kahan silne wale

bebak lahu ko hurmat ke aadab sikhane paDte hain
tab miTTi mauj mein aati hai

tab KHwab ke mani bante hain
tab KHushbu rang dikhati hai