wahi pyare madhur alfaz miThi ras-bhari baaten
wahi raushan rupahle din wahi mahki hui raaten
wahi mera ye kahna tum bahut hi KHub-surat ho
tumhaare lab pe ye fiqara ki tum hi meri qismat ho
wahi mera purana git tum bin ji nahin sakta
mein un honTon ki pi kar ab koi mai pi nahin sakta
ye sab kuchh Thik hai par is se ji ghabra bhi jata hai
agar mausam na badle aadmi ukta bhi jata hai
kabhi yunhi sahi main aur ko apna bana leta
tumhaare dil ko Thukraata tumhaari bad-dua leta
kabhi main bhi ye sunta tum baDe hi be-murawwat ho
kabhi mein bhi ye kahta tum to sar-ta-pa himaqat ho
ab aao ye bhi kar dekhen to jine ka maza aae
koi khiDki khule is ghar ki aur taza hawa aae
Nazm
Badalte mausam
Khalilur Rahman Azmi