chale the log jab ghar se
to ek wade ki taKHti apni peshani par
rakh kar lae the
jis ki gawahi mein
safar ko aage baDhna tha
aur us ke sath
KHwabon KHwahishon ke nam
us viran ghar ko aage baDhna tha
to ek wade ki taKHti thi
bahut din tak jo raushan thi sarabon mein
purani dastanen jagti taza nisabon mein
bahut din tak hawa mein sandali KHushbu mahakti thi
safar mein chandni ghar ki chhiTakti thi
chale the log jab ghar se
bahut manus the
har gum-shuda viran manzar se
chale the log jab ghar se
purani baat lagti hai
bahut si kaDiyan jaise bich se
ab TuTti jati hain
ruten guzrin hui ab hath se
yun chhuTti jati hain
jaise aayaten bujhne lagi hon
sail-e-zulmat mein
wo ek wade ki taKHti gum hui
tufan-e-hairat mein
badalne ka koi mausam nahin hota
bahut din jab badalne mein guzar jate hain
kuchh badle hue ka gham nahin hota
Nazm
Badalne ka koi mausam nahin hota
Ain Tabish