december ka mahina aur dilli ki sardi
sitaron ki jhilmilati jhurmuT se pare
aasman ke ek sunsan goshe mein
punam ka TheThurta hua koi chand jaise
baadalon mein khata hai mutwatir hachkole
haule haule
tanha musafir
aur dur tak kohre ki chadar mein lipTi
bal khati saDken
dhund ki ghubar mein khoya hua india gate
ThanD mein Thokaren khata musafir
KHush nasib hai
baadalon mein ghus jata hai chand
meri christmas ki raunaqen phaili hain tamam
sitaron se raushan saje dhaje bazar
laziz khanon ki KHushbuen jahan phaili hain har-su
bazar ki garm fazaon mein
mai ki sarmasti mein Duba hua hai pure shahr ka shabab
tanha musafir ki
chand roza masafat bhi kya shai hai yaro!
ham-watanon se dur
apno se dur
jamuna taT par jaise bin manjhi ke naw
boat club ke sard pani mein jaise
tairta rukta hua koi tanha hubab
tanha musafir sochta hai
koi hai jis ka wo hath tham le haule haule
koi hai jo us ke sath kuchh daur chale haule haule
dhund mein khoi hui manzilen
tawil saDken
aur tanha musafir
jaise punam ka TheThurta hua koi chand
baadalon mein khata hai mutwatir hachkole
haule haule
Nazm
BaDa shahr aur tanha aadmi
Perwaiz Shaharyar