baDa pur-haul rasta tha
badan ke jauhar-e-KHufta mein koi quwwat-e-lahut mudgham thi
kisi ghul bayabani ki gardish mere dast-o-pa ki mahram thi
dahan-e-jaan se KHarij hone wali bhap mein the salimat-e-dard raushan
guzargahon ke sab na-mo'tabar patthar
KHala mein uDne wali past miTTi ke siyah zarre
pahaD aur aaine sae kure peDon ke patte
paniyon ki gol lahren
raat ki la-ilm chizen
shash-jihat ke sab anasir zor se pichhe haTe the
aur main aage hazaron kos aage baDh gaya tha
ek ajab raftar meri aag mein thi
kis qadar pur-haul rasta tha
paDaw ke liye kitne jazire darmiyan aae
zamin muD muD ke aai aur ek ek kar ke saton aasman aae
musalsal chal raha tha main
hawa mein Dhal raha tha main
masamon se shua-e-be-nihayat phuTi paDti thi
abad ka ek jaDaw taj mere sar pe rakha tha
baDa pur-haul rasta tha
koi barq-e-shabahat aarzu-bardar meri aag mein thi
ek ajab raftar meri aag mein thi
Nazm
BaDa pur-haul rasta tha
Rafiq Sandelvi