kisi din aa 
purani khaion ko par kar ke 
daldalon mein panw rakkhen 
narsalon ko kaT Dalen 
pesh-e-manzar ke liye rasta banaen 
aa kisi din 
dhund mein jakDi hui 
kanTon bhari ye baD 
jis mein waqt ki bijli rawan hai 
jo zamin o aasman ko 
kaTti hai 
bich se 
us ko haTaen 
aa kisi din 
jhulte pul se utar kar 
naqsha-e-taqwim mein 
pur-pech kohsaron ke andar 
jhag uDati 
shor karti 
bal pe bal khati nadi mein 
ghota-zan hon 
tairte jaen! 
kisi din aa 
baDa chakkar lagaen!!
        Nazm
BaDa chakkar lagaen
Rafiq Sandelvi

