tumhaare gale mein
nae KHwab ke motiyon ki sunahri si mala
hamari nahin hai
samundar wo jis par
tumhaare qadam kashtiyan hon
hamein sirf dars-e-fana hai
hamare liye to
kisi ajnabi si sada ke bhanwar se nikalna bhi mumkin nahin hai
hamein aashna si nigahon se
sabze mein lipTi hawa ne bulaya to
hum gir paDenge
KHizan ke shajar se
koi aaKHiri phul ban kar
hamare har ek aaine ka to shewa hai bas
TuTte dil ke ehsas se TuT jaana
qayafa lagana
bhala kaun si aankh namkin se jhuT ke paniyon se bhari hai
bhala kaun se honT shiriniyan banTte hain
shuruat-e-chahat mein aisa qayafa lagana nahin jaante hum
Nazm
Bad-guman
Saeed Ahmad