wo galiyon mein barish wo gulnar chehre
tamannaon ke wo bhanwar gahre gahre
bhari dhup mein wo patangen pakaDna
wo baaton hi baaton mein laDna jhagaDna
koi kash mujh par ye ehsan kar de
ki bachpan ke kuchh pal mere nam kar de
main ab us purane mohalle mein ja kar
KHuda se ye fariyaad karne laga hun
main bachpan tujhe yaad karne laga hun
wo aangan mein lahraate sawan ke jhule
rahe yaad har dam kabhi hum na bhule
wo guDDe wo guDiya wo pyare khilaune
wo nannhi si aankhon ke sapne salone
na aage ki chinta na pichhe ke gham the
na thi fikr koi na ranj-o-alam the
palaT kar suhane palon ke safon ko
main dil ko phir aabaad karne laga hun
main bachpan tujhe yaad karne laga hun
kabhi nange pairon se galiyon mein jaana
wo barish ke pani mein kashti chalana
wo KHwabon KHayalon mein pariyon ki baaten
wo holi ke din wo diwali ki raaten
wo jab sath duniya ke bandhan nahin the
wo pal KHub-surat the wo din hasin the
wo lamhe wo yaaden saja kar ke yaro
ye nashad dil shad karne laga hun
main bachpan tujhe yaad karne laga hun
Nazm
Bachpan
Nitin Nayab