bachpan ki aankhen
saDak ke kinare khaDi
roti hain
sarasimgi ke aalam mein
apne jute aur chappalen chhoD kar
bhagne walon ki dahshat aur hairaniyan
in mein sarayat kar chuki hain
bachpan ki aankhen
hairan hain
ki gharon ko aag lagane walon
aur un ke andar phanse hue
KHauf-zada logon ka
darmiyani rishta
in ki samajh mein nahin aata
unhen malum nahin
ki tange se ghasiT kar
gali mein le jai jaane wali auraton ke sath
kya suluk kiya gaya
chhajje par khaDa hua buDha
kis ki banduq ki goli kha kar gira
buTon tale raunde jaane wale jism
kin logon ke the
bachpan ki aankhen
saDak ke kinare khaDi roti hain
ki inhon ne jo kuchh dekha
wo be-mani hai
bachpan ki gawahi
adalat mein taslim nahin ki jati
Nazm
Bachpan ki aankhen
Sadiq