jab halki phulki baaton se
naghmon ki tanaben banti thin
jab chhoTe chhoTe lafzon se
afkar ki shamen jalti thin
har chehra apna chehra tha
har darpan apna darpan tha
jo ghar tha hamara hi ghar tha
har aangan apna aangan tha
jo baat labon tak aati thi
wo dil se nahin kar aati thi
kanon mein amrit bharti thi
aur dil ko chhukar jati thi
wo waqt bahut hi pyara tha
wo lamhe kitne miThe the
jis waqt ki ujli rahon par
aaghaz to hai anjam nahin
jis waqt ki ujli rahon par
aaghaz to hai anjam nahin
wo waqt kahan ru-posh hua
jis waqt ka koi nam nahin
Nazm
Bachpan
Farooq Nazki