ghubare sitare
gulabi sharabi khule parchamon ke sharare uDate
hazaron ki tadad mein wo gharon se schoolon se aae
dahakte hue gal uDte hue baal
jismon ke moti
wo shabnam the lekin
badalte gae garm lawe mein paiham
wo bahte gae mauj-dar-mauj har rah guzar par
falak-bos naron se apne watan ke nae ya purane
chale wo baDhe wo
sabhi mushtahar dushmanon ko miTane
magar shoKH chehron ke is karwan mein
tasawwur mein bante sanwarte hue surmaon se haT kar
KHuda jaane kaise kahan se wo aaya
wo nanha sa masum baalak
jo KHamosh hairan pareshan
ghubaron shararon falak-bos naron
ke be-rahm dariya mein bahta luDhakta chala ja raha tha
use kaun pahchanta jab tamashaiyon ki safon mein
use dekhne wala koi nahin tha
Nazm
Bachchon ka julus
Balraj Komal