babul ke daraKHt se kaho
abhi masham-e-jaan mein har singhaar ki shaguftagi
baDe hi inhimak se bahaar-pash hai yahan
jo muD ke dekhta hun adh-jale gulab ka badan
shahadaton ke ramz par singhaar bhi luTa gaya
jo muD ke dekhta hun faKHta ka ahmarin lahu
jabin-e-jaur ki sabhi runaten miTa gaya
mere KHilaf sazishon ka ye muhib silsila
meri ana ke bankpan mein dafatan sama gaya
chinar ke daraKHt se hai nariyal ke peD tak
rawan dawan hamari KHushbuon ka shoKH silsila
kabutaron ke ghol ki phaban hiran ki chaukDi
hawa ke dosh-e-maghzar ko dulhan bana gai
abhi meri zamin ki fazaen subh-e-fam hain
dhuen ke nag se kaho
baDi hi saKHt-jaan hain hamari wadiyon mein rang-o-nur ki latafaten
samundaron ki sipiyon se pokharon ki ghoghiyon ne
baiaton ke waste sipurd kab kiya hai ghairaton ke lala-zar ko
abhi hisar-e-sang mein kanwal ke phul hain khile
zaban-e-reg-e-surKH se kaho
hamare panw jal gae to kya hua
bahaar-e-sabz ke liye zamin to aaj mil gai
Nazm
Babul ke daraKHt se kaho
Ambar Bahraichi