hum jin KHwabon ke pichhe bhagte hain
wo aankh khulte hi TuT jate hain
hum jin raston par chalna chahte hain
wo raste na jaane kyun ajnabi ban jate hain
hamari aankhen intizar karna bhul chuki hain
hamare aansu KHushk ho chuke hain
kisi ki yaad ab hamein satati nahin
ab na koi dard hai
na koi KHalish
hum ne kaT phenke wo aaza jo hamein lahu lahu kar chuke
han
apne aap se kuchh bichhaDne ka kuchh malal to hai
apne aap par hansne ka thoDa gham bhi hai
jo jhuT hum ne apni zat se bole
un ki chubhan bhi hai
magar us ke siwa hum kya karte
zindagi ko koi to dena tha
bina kisi sarshaari ke
kyunki hum jaante hain
hamari mohabbat saD chuki hai
Nazm
Bazyaft
Injila Hamesh