اردو हिंदी
Bazigar | Shaahi Shayari
bazigar

Nazm

Bazigar

Azra Abbas

;

bazigar
apna qad unche karne wale jute pahanta hai

wo nashe mein
bazigari dikhata hai

us ke jute itne unche hain
ki agar

us ki man dekhti
to ro deti

aur us ki mahbuba
jo ab kisi aur ke bistar mein hai

bazigar
apni mahbuba se hath dho baiTha

is liye ki
wo us ke samne bazigari

nahin dikha saka
bazigar

unche jute wala khel
jab hi se

dikhata hai