jitni der mein tum ek aahaT se utarte ho
aur sawer se apni palken ikaTThi karte ho
utni der mein ek nazm ban chuki hoti hai
nazm jis ki aankhon se loban ki KHushbu aur palkon
se nam Tapakta ho
aur wo apni pahchan ke liye KHud apna wasila bane
lekin agar is ke baad ke wasile zyaada mo'tabar Thahren
to hairaten afsos aur pachhtawe radd-e-dua
jab mohabbaten insan se kam-tar hawalon ki muhtaj ho jaen
to wo siDhiyan utar jati hain aasman nahin rahtin
zamin ka hawala mohabbat hai
aur wo jaanwar zyaada achchhi tarah nibha sakte hain
bahut qadim se kiya kawwon ne nahin bataya ki apna jurm
aur apni aaKHirat ko miTTi se parda-posh karo
aur kya kutte e'tibar ki aaKHiri had nahin hain
jo kahte hain mere mahbub so ja! main hun na
main hun na!
zalzalon ki KHabar dene ke liye
main teri musibat-zada nasl ko kahin se bhi DhunD launga
agar teri mohabbat ki nishaniyan un ke hathon ki ungliyon mein na bhi milen
wo tujhe zarur mil jaenge
un ke hath aur bazu tere bhai-bandon ne kaT liye
lekin main apne munh ka niwala unhen de kar hi lauTunga
main musibat ke sab dinon mein tere sath hun
main sag-e-dar hun meri tujh se sagai hai!
Nazm
Bazi jin ke hath rahi
Nasreen Anjum Bhatti