ek majbur ka tan bikta hai man bikta hai
in dukanon mein sharafat ka chalan bikta hai
sauda hota hai andheron mein gunahon ka yahan
zindagi nam hai hansti hui aahon ka yahan
zinda lashon ke liye surKH kafan bikta hai
jhuTi ulfat ke ishaaron pe wafa raqs kare
chand sikkon ke chhanake pe haya raqs kare
husn-e-masum ka be-saKHta-pan bikta hai
bech kar apna lahu aag kamai jae
aabru qaum ki sijon pe luTai jae
sar-e-bazar-e-hawas pyar ka fan bikta hai
Nazm
Bazar
Muzaffar Warsi