wo suraj ki pahli kiran le ke apne gharon se chale jab
to chehre gulabon ki surat khile the
jabinon pe sajdon ki tabindagi thi
libason ki shaistagi zeb-e-tan thi
nigahon mein shauq-e-safar ki chamak
aur qadmon mein thi aabshaaron ki masti
mujhe yun laga zindagi
aasmanon pe gaya hua git dohra rahi hai
sar-e-sham suraj ki Dhalti kiran
sath apne liye jab gharon ko wo lauTe
to chehron ki lali
libason ki shaistagi mar chuki thi
nigahon mein gahri thakan thi
jo qadmon se Takra rahi thi
mujhe yun laga zindagi
phir gunahon ki padash mein
aasman ki hadon se nikali gai hai
Nazm
Baz did
Zubair Rizvi