tum jo aao to dhundalke mein lapaT kar aao
phir wahi kaif sar-e-sham liye
jab larazte hain sadaon ke simaTte sae
aur aanhken KHalish-e-hasrat-e-nakaam liye
har guzarte hue lamhe ko taka karti hain
KHud-farebi se ham-aghosh raha karti hain
tum jo aao to andhere mein lapaT kar aao
shabnami shishon ko sahlaen lachakti shaKHen
aur mahtab-e-zamistan koi paigham liye
yun chala aae ki dar baz na ho
koi aawaz na ho
tum jo aao to ujale mein lapaT kar aao
phir wahi lazzat-e-anjam liye
jab tamannaen kisi KHauf se chiKH uThti hain
aur KHamoshi-e-lab saikDon ibham liye
ek sangin haqiqat mein badal jati hai
zindagi dard mein Dhal jati hai
Nazm
Baz-did
Muneebur Rahman