raegan waqt ke sannaTe mein 
ek aawaz thi pili aawaz 
koi dhaDkan thi guzishta-dil ki 
gurba-e-shab ki chamakti aankhen 
tak mein thin ki kahin se nikle 
mosh-e-be-KHwab koi 
band aaseb-zada darwaze 
aap hi aap khule band hue 
hujra-e-tar mein jaise koi 
ruh bhaTki hui dar aai thi 
ruh kab thi wo niri KHwahish thi 
aag thi 
aag pine ki hawas jag uThi 
raegan waqt ke sannaTe mein
        Nazm
Baz-dasht
Mughni Tabassum

