اردو हिंदी
Baaten pagal ho jati hain | Shaahi Shayari
baaten pagal ho jati hain

Nazm

Baaten pagal ho jati hain

Anwar Fitrat

;

meri band gali ke sare ghar
kitne ajib se lagte hain

mehrabi darwaze
jaise melancholia ki bimari mein

dhire dhire marte shaKHs ki
kich-bhari aankhen hun

aage baDhi hui balconiyan
jaise ahmaq aur hawannaq logon ki

laTki hui thoDiyan hoti hain
ek duje mein uljhe

baiThak aangan sone wale kamre
aur rasoiyan

sara yun lagta hai
jaise ek pagal ki gunjal sochen hon

un ke andar rahne wale
jaise

main bhi kya pagal hun
kya kya sochta rahta hun