oxygen ki tube
aur phansi ke phande mein waise bhi kya farq hai
baat phansi ya phansi ke din ki nahin
maut ki bhi nahin
baat to lash ke mazhaka-KHez lagne ki hai
fikr lashe ki hai
jaane kaisi lage?
ek fuT lambi patli si gardan
mere itne bhaari badan par
aur zaban?
wo jo sunte hain itni nikal aaegi munh ke bahar
kali-mai ki surat
kahin wo Dara to nahin degi bachchon ko mere
aur wo sab nek insan jo ghusl denge mere jism ko
so bhi paenge kya chain se?
ya mera bhut un ko Daraata rahega mahinon talak
main nahin chahta koi mujh se Dare
koi mujh par hanse
zindagi ek latife ki surat kaTi kuchh shikayat nahin
han magar
lash ki shakl mein mazhaka-KHez lagne se Darta hun main
baat itni si hai
baat phansi ya phansi ke din ki nahin
Nazm
Baat phansi ke din ki nahin
Shariq Kaifi