chalo mil-jul ke hum rishton ke basi-pan ka hal sochen
achanak phir usi andaz se nazren milin apni
jab hum ne pahle pahle ek-duje ko saraha tha
sahm jaen ye apni un tamannaon ki aahaT se
dhaDakte dil se jab hum ne koi sapna sajaya tha
wo hi be-saKHta si sadgi ke pal jien phir se
wafa ka ya jafa ka zikr tha na nam rishton ka
mahak thi ek kashish thi ajnabi-pan ki fazaon mein
hare ek jhonke mein aata tha koi paigham rishton ka
sabhi kuchh hum samajh baiThen hain aao ye bharam toDen
kisi kone mein to hoga koi ehsas an-jaana
adhura an-chua sa an-suna sa aur an-dekha
hamari rah takta hoga koi moD diwana
chalo mil-jul ke hum rishton ke basi-pan ka hal sochen
Nazm
Basi rishte
Ashok Lal