ghanghor ghaTa tuli khaDi thi
par bund abhi nahin paDi thi
har qatra ke dil mein tha ye KHatra
nachiz hun main gharib qatra
tar mujh se kisi ka lab na hoga
main aur ki gun na aap joga
kya khet ki main bujhaunga pyas
apna hi karunga satyanas
KHali hathon se kya saKHawat
phiki baaton mein kya halawat
kis birte pe main karun dileri
main kaun hun kya bisat meri
har qatra ke dil mein tha yahi gham
sargoshiyan ho rahi thin baham
khichDi si ghaTa mein pak rahi thi
kuchh kuchh bijli chamak rahi thi
ek qatra ki tha baDa dilawar
himmat ke muhit ka shanawar
faiyyaz o jawwad o nek-niyyat
bhaDki us ki rag-e-hamiyyat
bola lalkar kar ki aao!
mere pichhe qadam baDhao
kar guzro jo ho sake kuchh ehsan
Dalo murda zamin mein jaan
yaro! ye hachar-machar kahan tak
apni si karo bane jahan tak
mil kar jo karoge jaan-fishani
maidan pe pher doge pani
kahta hun ye sab se barmala main
aate ho to aao lo chala main
ye kah ke wo ho gaya rawana
dushwar hai ji pe khel jaana
har-chand ki tha wo be-bizaat
ki us ne magar baDi shujaat
dekhi jurat jo us sakhi ki
do-chaar ne aur pairwi ki
phir ek ke baad ek lapka
qatra qatra zamin pe Tapka
aaKHir qatron ka bandh gaya tar
barish lagi hone mosla-dhaar
pani pani hua bayaban
sairab hue chaman KHayaban
thi qaht se paemal KHilqat
is meinh se hui nihaal KHilqat
jurat qatra ki kar gai kaam
baqi hai jahan mein aaj tak nam
ai sahibo! qaum ki KHabar lo
qatron ka sa ittifaq kar lo
qatron hi se hogi nahr jari
chal niklengi kashtiyan tumhaari
Nazm
Barish ka pahla qatra
Ismail Merathi