barish dekhti hai ki use kahan barasna hai
aur dhup jaanti hai ki use kahan nahin jaana
magar wo jati hai aur shikar hoti hai
aur kanTon mein phans kar baT jati hai
aur ret ke zarron ki tarah
zamin se uThai nahin jati
raat samajhti hai aur samajh kar KHamosh rahti hai
sirf apne konon par girhen lagati rahti hai
aur kahti hai
aa mil Dholan yar kadi
kedare ke tane-bane mein
dekh to main ne kya buna hai
ek phulban! ek ras-ban
aur ab
dhaare dhaare chali jati hun main
ban bich utrun, kanTe rang dun?
dhaare dhaare bahi jati hun
aur bhed nahin pati hun
na pal chhan ka
na yugon yugon ke antar ka
tum sundar gyani shant hue
mohe apni sit karo swami
sab chiDiyan ek sang bolti hain
mohe apni sit karo swami aur dur kahin uD jati hain
main apne har ek kone par chaalis girhen lagwati hun
tan jonk jonk Daswati hun
aur dhup ko ye malum nahin
kab mujh par saya karna hai! kab mujh ko raushan karna hai
kab meri KHak uDani hai
kab mere ang ang bharna hai
main gaThri gile kapDon ki
kis ghaT mujhe ab dharna hai!
Nazm
Barish dekhti hai
Nasreen Anjum Bhatti