andhere mein chala hai karwan-e-be-jaras koi
buland-o-past koi hai na us ka pesh-o-pas koi
faqat aawaz-e-pa-e-rahrawan hai ham-safar apni
sharik-e-karwan kitne hain kitne ham-safar hain kaun rahbar kaun rahzan hai
kahan par kaun hai kis kunj mein kis ka basera hai
KHuda jaane yahan to bas andhera hi andhera hai
kuchh aawazen hain
aawazon ke dekho jism bhi hain pairahan bhi hain
inhin mein tum bhi ho main bhi
main kya hun tum meri aawaz ka chehra bana kar dekh lo
yahi main kar raha hun sab yahi karte hain
ye kaise bataun chal raha hun kab se
meri ibtida zulmat hai tum chaho to is ko intiha kah lo
tayyun samt ka kaise ho kya tadid-e-saat ho
ab aise mein batao kaise tahdid-e-masafat ho
chalo chalte raho
koi aawaz kyun aati nahin
murdon pe shayad chal rahe hain hum
yahan rukne se pahle soch lo
kuchh aahaTen pichhe bhi hain apne
wo hum ko raund jaengi
chalo chalte raho
koi Tanka kahin TuTa hai sannaTe ke honTon ka
ye koi chiKH hai samjho kahin par mar gaya koi
kisi uftada dil par panw shayad dhar gaya koi
chalo chalte raho
koi suraj kisi ki aastin se phir hamein aawaz deta hai
aur is aawaz se had-e-nazar tak raushni si hai
koi suraj koi mashal
koi jugnu koi tara
koi aawaz koi chiKH
kuchh bhi ho sabhi marte hain
lekin marte marte raushni ki gunj ban jate hain
aao gunj se jhaDte shararon ko sameTen
un ke resham se mulaem tir sinon mein chhupa len
zaKHm kar len dil ko
aur phir zaKHm se gul gul se naghmon ki lawen mangen
phir un ko jab talak chalna hai koi nam de len
KHwab kah len ya haqiqat
ye safar hai aur andhera mustaqil hai
apni aawazon ko apna ham-safar kar len
chalo chalte raho
wo rah-raw sans jis ki chhu rahi hai meri aahaT ko
nahin wo tum nahin ho
meri parchhain hai
tum bhi apni parchhain koi taKHliq kar lo
karwan tum bhi ho aur main bhi
hum apni apni zulmat apni apni raushni KHud hain
luTe jitna koi us ke liye itna andhera hai!
Nazm
Baqist shab-e-fitna
Aziz Qaisi