rangon aur KHushbuon ki taKHliq se pahle
marne wale lamhe ki nam aankhon se
aainda ke KHwabon ki uryani ka dukh jhank raha tha
KHat-e-shuur se aaj agar hum
us lamhe ki samt kabhi dekhen to ruh mein jagti
gili miTTi ki aawaz sunai deti hai
ye duniya to miTe hue us daere ki surat ka aks hai
jis mein sochon aankhon aur harfon ke lakhon daere larzan hain
chaaron jaanib KHushbuon ke aangan mein jalte hue rangon ki lahren
hawa ki Dor se bandhi hui aisi kaTh-putliyan hain
jo apne janam ki saat se is pal tak
chup ki lai par nach rahi hain
jaane kab se uryan KHwabon ka pairahan pahne
aate jate lamhon par chillati hain
dekho ghaur se dekho
ye uryani maKHfi aur zahir mein zinda rabte ki KHatir
apni asl ki jaanib jhukte insanon ke
wasl-talab-jazbon ki tarah sawali hain
baqi daere KHali hain
Nazm
Baqi daere Khaali hain
Jameel ur Rahman