chhaton munDeron aur peDon par
Dhalti dhup ke ujle kapDe sukh rahe the
baadal surKH si jhaalar wale banke baadal
hanste chahakte phulon ka ek guldasta the
har shai kundan rup mein Dhal kar damak rahi thi
galon par sone ki Dalag aur aankhon mein ek tez chamak thi
sara manzar kaif ke ek lamhe mein bebas
lazzat ki banhon mein jakDa humak raha tha
aur phir do aankhon ko milti
kale uljhe baalon ko mukh par bikhrae
chhoTe chhoTe qadam uThati baDhti aai
pahli khiDki mein jab us ne jhanka
khiDki ki dahliz pe rakkha ek nazuk gul-dan chaTaKH kar TuT gaya
uljhe baalon pagal aankhon wali ne tab aage baDh kar
dusri tisri aur phir gali ki har khiDki mein jhank ke dekha
gul-danon ko Thokar mari
ek ek phul ko raund diya
tab wo mujh ko dekh ke lapki
meri jaanib ghaiz-bhari nazron ka rela aaya
phir jaise kuchh shoKH ke ThiThki
surKH gulab ka phul mere hathon mein thamaya
aur KHud chikne farsh pe gir kar TuT gai
Nazm
Banjh
Wazir Agha