اردو हिंदी
Bakira | Shaahi Shayari
bakira

Nazm

Bakira

Saqi Faruqi

;

aur chadar par shab-bashi ka zinda lahu tha
us ne uTh ke angDai li

aaine mein chehra dekha
sarshaari mein itminan ki ThanDi sans li

us ki thaki hui aankhon mein
diwani maghrur chamak thi

fath ke nashshe se palken bojhal thin
us ne socha hide-park mein

jo laDki ek jasusi nowel mein Dubi
use mili thi

wo to jaise faKHta nikli
us ne apni sex appeal ka kampa mar ke

ram kiya tha
us ki lachchhe-dar anokhi baaten sun kar

us ke sath chali aai thi
subh-sawere

chae bana kar
bosa de kar

chali gai thi
wo to sach-much bakara nikli

(warna sola sattarah baras ki laDki harrafa hoti hai)
us ne socha

us ne shab bhar
band kali par

ek zanburi raqs kiya tha
aur chadar par itna lahu tha

jaise jang-e-azim
isi bistar par laDi gai thi

us ne apni monchhon ke guchchhe mein
apni hansi dabai

ek KHayal se
aankhon mein saya lahraya

sar chakraya
ye to us ki mahwari ka murda lahu tha

jo chadar par phail gaya tha