aasman tapte hue lohe ki manind safed
reg sukhi hui pyase ki zaban ki manind
pyas hulqum mein hai jism mein hai jaan mein hai
sar-ba-zanu hun jhulaste hue registan mein
teri sarkar mein le aai hun ye wahsh zabih!
mujh pe lazim thi jo qurbani wo main ne kar di
us ki ubli hui aankhon mein abhi tak hai chamak
aur siyah-baal hain bhige hue KHun se ab tak
tera farman ye tha us pe koi dagh na ho
so ye be-aib achhuta bhi tha an-dekha bhi
be-karan reg mein sab garm lahu jazb hua
dekh chadar pe meri sabt hai us ka dhabba
ai KHuda-wand-e-kabir
ai jabbar!
mutakabbir o jalil!
han tere nam paDhe aur kiya zabh use
ab koi para-e-abr aae kahin saya ho
ai KHuda-wand-e-azim
baad-e-taskin! ke nafas aag bana jata hai!
qatra-e-ab ki jaan lab pe chali aai hai
Nazm
Bakira
Fahmida Riaz