rad hun barq hun bechain hun para hun main
KHud-parastar KHud-agah KHud-ara hun main
KHirman-e-jaur jala de wo sharara hun main
meri fariyaad pe ahl-e-duwal angusht-ba-gosh
la, tabar KHun ke dariya mein nahane de mujhe
sar-e-pur-naKHwat-e-arbab-e-zaman toDunga
shor-e-nala se dar-e-arz-o-saman toDunga
zulm-parwar rawish-e-ahl-e-jahan toDunga
ishrat-abaad imarat ka makan toDunga
toD Dalunga main zanjir-e-asiran-e-qafas
dahr ko panja-e-usrat se chhuDane de mujhe
barq ban kar but-e-mazi ko girane de mujhe
rasm-e-kohna ko tah-e-KHak milane de mujhe
tafraqe mazhab o millat ke miTane de mujhe
KHwab-e-farda ko bas ab haal banane de mujhe
aag hun aag hun han ek dahakti hui aag
aag hun aag bas ab aag lagane de mujhe
Nazm
Baghi
Makhdoom Mohiuddin