اردو हिंदी
Baadban | Shaahi Shayari
baadban

Nazm

Baadban

Kamal Ahmad Siddiqi

;

samundaron ki nil-gun faza-e-ab mein bhi raqs kar chuka hun bar-ha
mere liye koi ufuq ye aasman ki wusaten bhi ajnabi nahin

main in mein saikDon, hazaron zindagi ke git aatishin dhunon mein ga chuka
kisi ko DhunD hi raha tha, kaun jaane kis ko DhunDhta tha main

hazar bar DhunDhta raha hun jis ko mausamon ke madd-o-jazr mein magar na pa saka
sitare Dubne lage aur aandhiyon ki shiddaten habab ban ke rah gain

kisi ko DhunD hi raha tha main sahar ki narm narm shabnamin fazaon mein
ki aap aa gain, aur aa ke chha gain samundar aur aasman ki be-karan KHalaon mein

hazaron dastanen bahr-e-nilgun ki chashm-e-naz mein liye hue
hazaron mahr-o-mah ki tajalliyon ka jism aaina bana hua

main soch hi raha tha, lahren nabz-e-kaenat to nahin
ki ek lahr uTThi jis ki barhami ke samne meri tamam quwwaten habab ban ke rah gain

kanar-e-ab ek pal main dekhte hi dekhte main phir paDa hua tha ret par
mere badan ki ret ka har ek zarra ek aaina tha

aur jaane kitne aaftab jagmaga rahe the mere jism par
hazar main gunahgar hun to kya

ye mera jism KHak-o-KHun ka imtizaj hi sahi
hazar main gunah-gar hun to kya

ye zalzale ye aandhiyan ye barq o aatish o sharar mere mizaj hi sahi
magar sukun pa ke jab bhi shadman hua hun

gunguna uTha hun muskura diya hun
mere is aahani mahal ke aastan pe aasman ki jannaten bhi sajda-rez ho gain

agar nahin hain nariyal ke sae sath-e-ab par to kya hua
magar bahut hi dur aa chuke hain sahilon ko chhoD kar

uThao langar aur baadban khol do
hawaen tez hain to kya ye lahren shoala-rez hain to kya

uThao langar aur baadban khol do
main jaanta hun KHub jaanta hun ek kaenat aur bhi hai

mawara-e-kaenat
baras raha hai amrit aasman se chandni ke rup mein

zamin zamin ki kaenat ke liye numu hai dhup mein
magar ye barg ye samar ye gulsitan baghair rang ke to kuchh nahin

sitare Dubne lage to kya
ye lahren shoala-rez hain to kya

uTho aur uTh ke kashtiyon ke baadban khol do
ye kaun kahta hai ki lahron ka KHuda koi nahin

ye lahren KHub jaanti hain sahilon ka rasta