dur gagan mein kahin tha ab tak khoya
baadal aaj kai dinon ke baad roya
baadal rota main muskuraata hun
wo gham bitata main KHushiyan manata hun
baadal ke aansu ne sara jag bhigoya
baadal aaj kai dinon ke baad roya
ab baadal rota main hansta nahin tha
us ke aansu par maza kasta nahin tha
baadal ke aansu ne hariyali ka manzar laya
sapnon sa tha darpan jag ko aansu ne chamkaya
baadal ne jaise rone ki zid thi Thani
us ke aansu dharti par kar rahe the man-mani
ab baadal rota to main bhi rota hun
apne sapne us ke aansu se bhigota hun
hariyali ka manzar jaise ujDa kahi khoya
baadal aaj kai dinon ke baad roya
kuchh mahine bite baadal man gaya
apne aansu ko thamna jaise jaan gaya
ab badal muskuraata main muskuraata hun
rone par kisi ke na hansna sab ko samjhata hun
dur gagan mein kahi tha ab tak khoya
baadal aaj kai dinon ke baad roya
Nazm
Baadal aaj kai dinon ke baad roya
Kamal Upadhyay