sahife utarne se pahle aur nabiyon ke nuzul ke baad
hath se gire hue niwalon ki tarah hamein kutton ke aage Dal diya jata raha
is darmiyan, aankhon ke niche hum ne apne hath rakhe
ki wo paon par na gir paDen aur kanch ka e'tibar jata rahe
mujhe aag se likh aur pani se uga
miTTi ke sath insaf main KHud karungi
wo to qadam qadam kanTon ki baD tak KHud chal kar gae
aag pahnawa karte the jo log
aur jo akela tha us ne sargoshi ijad ki
aur jis ne qabila chaha us ne chiKHen banain aur raat ke parindon mein banT din
pardesi hue hath kunjen pakaDte rah gae
hawa ka bichhauna judai ki ungliyon ne buna aur mohabbat karne wale dil ne sameTa
kya panw juton ke liye bane the ya manzilon ke liye?
phir thakan ne kis ke panw toDe
aur kaun asir kiya ki us se juton ki qimat puchhe aur insan ke bhaw batae
phir e'tibar ne kis ke TaKHne kaTe ki wo aasman samet zamin par aa rahe
KHudawand! bhil qabile ke log gosht khana kab sikhe
jab un ke munh ko KHun aur dil ko KHauf-e-KHuda lag gaya
phir is ke baad wo sar na uTha sake
aazadi sirf ek ThanDi sans thi maqdur-bhar
aur ghulami! umr bhar ki roTiyan!!
Nazm
Baad ke baad
Nasreen Anjum Bhatti