guzashta all-parties-conference mein
tai hua tha
ki shahr bhar ki tariki
aankh ke bosida piyalon mein unDel kar
subh, dopahar, sham ba-qaedgi se istimal ki jae
to andheron mein jutiyan TaTolna
sahal ho jaega
kaun nange panw mahal ki taraf jae
ki raste mein uchakkon ke KHauf se
kanch ki zamin bichha di gai hai
hamare ehtajaji banners zor-dar hawa chalne ke bais
hamare saron pe ulaT paDe
aur ubhre hue gumDon ko tariki ne chhupa liya
is ke bawajud hamari aankhen
andhere mein dekh sakti hain
dekh sakti hain ki daen baen rahne walon ne
aankhon ko badan mein ghair-zaruri samjha
aur mahal walon ko atiyya kar din
agar is baras bairuni gahakon ki aamad-o-raft
mahdud rahi to ain mumkin hai
hamari jutiyan hamare saron se utar kar
pairon mein pahna di jaen
Nazm
Ba-izzat tariqe se jine ke jatan
Sidra Sahar Imran