faza-e-ishq ko matam-gusar chhoD gaya
jahan mein naqsh-e-wafa yaadgar chhoD gaya
payam-e-dida-e-afsana-kar chhoD gaya
hikayat-e-KHam-e-gesu-e-yar chhoD gaya
nazar mein ek KHalish-e-intizar chhoD gaya
jigar mein ek tapish-e-dard-kar chhoD gaya
suna ke rah-e-mohabbat mein naghma-ha-e-junun
qaba-e-lala-o-gul tar-tar chhoD gaya
ufuq ke par gaya KHanda-zan bahaaron par
chaman ko gham-zada-o-sogwar chhoD gaya
bisat-e-KHak ko de kar bahaar-e-lala-o-gul
chaman ke sine pe zaKHm-e-bahaar chhoD gaya
shab-e-bahaar mein taron ki raushni ke liye
mata-e-girya-e-KHunaba-bar chhoD gaya
paTak ke jam zamane ki be-sabaati par
nishan-e-hasti-e-na-paedar chhoD gaya
sharab-o-sher ki rangin faza pe lahra kar
surud-e-KHum-kada-e-nau-bahaar chhoD gaya
Nazm
Ba-yaad-e-aKHtar shirani
Nayyar Wasti