KHun-e-jamhur mein bhige hue parcham le kar
mujh se afrad ki shahi ne wafa mangi hai
subh ke nur pe tazir lagane ke liye
shab ki sangin siyahi ne wafa mangi hai
aur ye chaha hai ki main qafila-e-adam ko
Tokne wali nigahon ka madad-gar banun
jis tasawwur se charaghan hai sar-e-jada-e-zist
us tasawwur ki hazimat ka gunahgar banun
zulm parwarda qawanin ke aiwanon se
beDiyan takti hain zanjir sada deti hai
taq-e-tadib se insaf ke but ghurte hain
masnad-e-adl se shamshir sada deti hai
lekin ai azmat-e-insan ke sunahre KHwabo
main kisi taj ki satwat ka parastar nahin
mere afkar ka unwan-e-iradat tum ho
main tumhaara hun luTeron ka wafadar nahin
Nazm
Ba-shart-e-ustuwari
Sahir Ludhianvi