rah tarik thi dushwar tha har ek qadam
manzil-e-zist ke har gam pe Thokar khai
mashal-e-azm liye phir bhi mein baDhta hi raha
dard-o-alam ki aandhi jo kabhi tez hui
daman-e-shauq mein mashal ko chhupaya main ne
bahar bandagi-o-shoalagi mashal-e-azm
meri shiryanon ka har qatra-e-KHun waqif hua
daman-e-shauq bhi jal-bujh ke kahin rakh hua
aur phir dhundli hui bujhti gai mashal-e-azm
rah kuchh aur bhi tarik wo siyah hoti gai
ghor andhiyare ke ifrit mujhe Daste rahe
zindagi apni un hi bhul-bhulayyon mein rahi
apni manzil ka magar mujh ko pata mil na saka
ham-safar aur bhi kuchh sath chale the mere
un mein wo josh-e-junun aur na wo azm-o-yaqin
mast-o-sarshaar rahe baada-e-ghaflat pi kar
KHwab-e-KHargosh mein har gam pe madhosh rahe
un ki manzil ne magar un ke qadam chum liye
un ki us nusrat-e-be-ja pe mujhe rashk nahin
aaj bhi mujh mein hai wo josh-e-junun azm-o-yaqin
aaj bhi naz hai go jahd-o-amal pe apne
maslahat-kosh nahin aaj bhi masum-e-junun
KHizr ki beja KHushamad pe nahin raazi hunuz
han magar zehn ke parde pe ubharte hain sawal
KHizr ki beja KHushamad hi muqaddam hai yahan
wasl-e-manzil ke liye pa-e-junun shart nahin
Nazm
Pa-e-junun shart nahin
Zaheer Siddiqui