raat ke andhere mein kitne pap palte hain
puchhta phire koi kis se kaun papi hai
puchhne se kya hasil puchhne se kya hoga
mahshar ek bapa hoga shor-e-narawa hoga
dard kam to kya hoga aur kuchh siwa hoga
kaun kis ki sunta hai kis ko itni fursat hai
dad KHwah banna bhi feal-e-be-fazilat hai
dad samm-e-qatil hai marna kis ko bhata hai
taur-e-zindagi sahab raat ka nirala hai
raat ke andhere mein kitne pap palte hain
kitne sanp palte hain chaar-su uchhalte hain
chheDiye to phunkaren chhoDiye to Daste hain
DhiT ban ke phirte hain sanp kis se Darte hain
log Darte phirte hain log bachte phirte hain
KHamushi ke ghaaron mein KHamushi se chhupte hain
ek dusre ka munh bebasi se takte hain
shama ek jalane par kaisi kaisi pabandi
nur par bhi pabandi tur par bhi pabandi
sau tarah ki pabandi shama kaise jal pae
kis mein itni jurat hai maut se ulajh jae
yas dil se kahti hai maslahat baDi shai hai
maslahat isi mein hai qufl Daliye lab par
josh lakh bahlae kuchh na laiye lab par
yas ek buDhiya hai tajarbe se kahti hai
log qadr karte hain maslahat isi mein hai
maslahat pe chalte hain KHairiyat isi mein hai
raat baDhti jati hai raat baDhti jati hai
raat ke andhere mein kuchh nazar nahin aata
raat baDhti jati hai hosh baDhta jata hai
dard baDhta jata hai josh baDhta jata hai
raat ke andhere mein kuchh nazar nahin aata
tirgi nazar mein hai dil ka haal dil mein hai
dil ke lakh goshon mein lakh shamen jalti hain
maslahat ki zanjiren dam-ba-dam pighalti hain
dam-ba-dam KHamoshi se raat ke andhere mein
raat baDhti jati hai raat kaTti jati hai
raat ke andhere mein kuchh nazar nahin aata
Nazm
Raat
Daud Ghazi