hansi ruki
to phir se maon
panjon ke bal chalti chalti
bazu ke resham pe phisalti
gardan ki ghaTi se ho kar
kan ki diwaron par chaDhti
indr ke dalan mein kudi
aur badan
ek saghar sa bimar badan
sare ka sara
hansi ki chaDhti nadi ki
aafat bhari lazzat ke andar
jhaTke khata chiKH uTha
bas abbu
roko us maon ko abbu
aage mat aae
ye maon
aur abbu ne
rok diya apni ungli ko
aur billi
ek jast laga kar
abbu ke sine mein utri
aur phir
us ke tan ki lambi shiryanon mein
panjon ke bal chalti chalti
us ki aankh mein aa pahunchi hai
ghaT laga kar
aansu ki chilman ke pichhe
baiTh gai hai
Nazm
Aansu ki chilman ke pichhe
Wazir Agha