bahut ji chahta hai har kisi se pyar karne ko
magar aisi kahan qismat ki dil mujh ko Daraata hai
kai be-rang se KHake kai sad-rang taswiren
KHuda malum kin tarikiyon se khinch lata hai
sunata hai kabhi biti hui baaton ki shahnai
kabhi mazi ke album se mujhe photo dikhata hai
jinhen main bhul jaana chahta hun wo hasin chehre
zabardasti dikhata aur mujh par muskuraata hai
unhen kya jaante ho tum unhen pahchante ho tum
ada-e-tanz se har ek par ungli uThata hai
yahi to hain wo jin ke raat-din tum git gate the
yahi to hain wo jin par pyar ab bhi tum ko aata hai
main kahta hun KHuda ke waste KHamosh ho jao
satane mein kisi majbur ko kya lutf aata hai
meri majburiyan kafi nahin kya munh chiDhane ko
jo tu bhi munh chiDhata aur meri jaan khata hai
jise main chahta hun pyar kar sakta nahin us se
main jis se pyar karta hun wo mujh se ruTh jata hai
Nazm
Majburi
Talib Chakwali