apna to abad hai kunj-e-marqad
jab jism supurd-e-KHak ho jae
marqad bhi nahin wo aaKHiri sans
jab qissa-e-zist pak ho jae
wo sans nahin shikast-e-ummid
jab daman-e-dil hi chaak ho jae
ummid nahin bas ek lamha
jo aatish-e-gham se KHak ho jae
hasti ki abad-gah-e-qaza mein
kuchh farq nahin fana baqa mein
KHakistar-e-KHwab shola-e-KHwab
ye apna azal hai wo abad hai
wo shola to kab ka mar chuka hai
ye jism ek nash-e-be-lahad hai
marti hai hayat lamha lamha
har sans ek zindagi ki had hai
ruhon ko dawam dene walo
jismon ki sabil kuchh nikalo
shola koi mustaar de do
ya lash ko ab mazar de do
Nazm
Azal-abad
Aziz Qaisi