tujhe chhu kar bahaar aai thi
kunj-e-gham mein barsa tha
tere aane se sawan
chandni chhiTki thi
phuli thi shafaq
boli thi koyal dekh kar tujh ko
amal ye sans lene ka bahut aasan hua tha
khel sa lagne laga tha
aazmaish se guzarna
karzar-e-zist mein, din raat karta
ab magar
phir ibtida se
kawish-e-paiham mein
ghume ja rahe hain
waqt ke pahiye
nae taklif-dah aaghaz se hum ko guzarna paD raha hai phir
Nazm
Az-sar-e-nau
Mah Talat Zahidi