ayodhya! aa raha hun main
main teri kokh se janma
teri godi ka pala hun
teri sadiyon purani sanwli miTTi mein khela hun
mujhe malum hai tu mujh se ruThi hai
magar ab dur tujh se rah nahin sakta
parae desh mein guzri hai jo mujh par
wo KHud se bhi kabhi main kah nahin sakta
zara sar to uTha aur dekh
kitni dur se tujh ko manane aa raha hun main
tujhe tere hi kuchh qisse sunane aa raha hun main
ayodhya! jaanta hun teri miTTi mein udasi hai
na jaane kitni sadiyon se
meri bhi ruh pyasi hai
ki hum donon ki qismat mein KHushi to bas zara si hai
bahut din ho gae hain mujh ko tere aasman dekhe
sunahri dhup dekhe chamchamati kahkashan dekhe
teri galiyan tere bazar aur tere makan dekhe
wo din jo tujh mein raushan the wo barson se kahan dekhe
bichhaD kar tujh se jo manzar bhi dekhe raegan dekhe
magar han yaad aaya
ek manzar aur bhi mahfuz hai mujh mein
haweli ek chhoTi si aur us mein nim ke sae
ki jis mein aaj bhi zinda hain shayad mere man-jae
isi manzar ke pichhe aur bhi dhundle se manzar hain
purani gum-shuda tahzib ke ghar hain
jahan KHwabon ki duniya hain
jahan yaadon ke daftar hain
andhere ru-ba-ru mere
sitare mere andar hain
kahin radha kahin sita kahin byakul si mera hai
kahin par karbala hai aur kahin par ramlila hai
tera mera to an-ginat janmon ka qissa hai
ki mujh mein dur
sadiyon dur
gautam ab bhi zinda hai
hawa ruk ruk ke aati hai
jo gunji thin hazaron sal pahle
wo sadaen sath lati hai
mere andar jo mere rup hain
mujh ko dikhati hai
ayodhya! mein tere marghaT ka basi hun
mujhe tu jaanti hogi
mujhe malum hai mujh ko
mere har nam se pahchanti hogi
ujaD kar rah gaya jo main wo mela hun
bhara sansar hai phir bhi akela hun
teri miTTi se jaga hun
teri miTTi mein khela hun
teri miTTi ko pahna hai
teri miTTi ko oDha hai
bahut ji chahta hai ab teri miTTi mein kho jaun
kai sadiyon ka jaga hun
teri miTTi mein so jaun
ayodhya! mera bahar karbala hai
andarun mera kapilwastu hai, makka hai madina hai
mujhe tere purane aur raushan din mein jina hai
badan par hai tera baKHsha hua ye kesari bana
hai bhiksha patr hathon mein
safar mera hai ab tarik raaton mein
ayodhya! sar uTha
aur dekh le mujh ko
thake qadmon se ab teri hi jaanib aa raha hun main
safar tarik hai
pag pag pe Thokar kha raha hun main
mujhe aawaz de ghabra raha hun main
teri KHatir jo barson se chhupa rakkha hai dil mein
wo ujala la raha hun main
ayodhya!
aa raha hun main
Nazm
Ayodhya! main aa raha hun
Kumar Pashi