ayaz chup hai
sada-e-mahmud harb-e-taza ki tez-tar rau mein
bah gai hai
ayaz chup hai
ayaz chup hai ki ab asiran-e-shab bhi
KHwabida aks le kar
thaki thaki KHwahishon ke sinon pe so gae hain
wo din ki jis din
jale hue taqchon pe harfon ki be-kafan lash
dafn hogi
wo din calender ki sabz tah se sarak gaya hai
ayaz chup hai
luTi hui bastiyon mein tariKH ka paDaw
safon mein tartib DhunDhta hai
lahu ki hiddat mein munqasim subh kam-nasiban ka garm suraj
hazar-ha girhen kholta hai
to shahr-e-kohsar ke jilau mein qadim shahrah puchhti hai
ayaz chup hai ki bolta hai
ayaz chup hai
sada-e-mahmud harb-e-taza ki tez-tar rau mein bah gai hai
Nazm
Ayaz chup hai
Farrukh Yar