mushkil waqt mein
agar kuchh log hamari madad nahin kar rahe
to hamein
in ke bare mein sochna tark nahin karna chahiye
aur jo log apni aawazon se
apni maujudgi ka ehsas dila rahe hain
hamein un ka bhi KHayal rakhna chahiye
bahut ziyaada kasmapursi ke aalam mein
hamein sirf nare nahin lagane chahiyen
bahut ziyaada bebasi ki haalat mein
hamein apni muTThiyan
ghar ki diwaron aur darwazon par
nahin marni chahiyen
apne sathiyon ke shor
aur apni chiKHon se ghabra kar
hamein apni baaton ko dohrana band karna chahiye
hamein takrar karni chahiye
har us lafz ki
jis ki wajh se hamara wajud
abhi tak baqi hai
hamein takrar karni chahiye
har us KHayal ki
jis ke aate hi
bahut se logon ke raungTe khaDe ho jate hain
apni mayusi, apni na-umidi ko
hamein ek git bana lena chahiye
aur apni bhuk aur apni pyas se
ek chabuk
jise hath mein le kar
apne KHwabon ki wictoriya dauDate hue
hamein apne mahl mein
daKHil ho jaana chahiye
Nazm
Awam
Zeeshan Sahil